Google

Monday, June 16, 2008

Hindi SMS collection


  1. Phool khiltay rahain zindagi ke rah main
    hasi chamakti rahay aap ki nigah main
    kadam kadam per mile khushi ke bhar apko
    dil deta hay bar bar yehi dua app ko

  2. Khuda karay keh to sab say naik serat ho
    keh tere terhan tera dil bhi kubsurat ho
    dua say qabal milay tujh ko jo bhi to chahhay
    keh kudh dua ko teray hatoon ke zarorat ho

  3. Hum tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
    Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
    Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
    Hum tere saath challenge aasmaan bankar.

  4. Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,
    Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
    Jabbhi tumhe bhulne ki koshish ki,
    Ae dost tu dil ke aur paas aane laga..

  5. Khayalo ko kisi aahat ki aas rahati hai,
    nighao ko kisi surat ki pyas hoti hai,
    tere bin kisi cheez ki kami to nahi,
    magar tere SMS bin tabiyat udas rahati hai...

  6. Yaad karne ke liye koi cheez chahiye,
    Aap nahi to aapki taswir chahiye
    per taswir aapki hamaara dil behla na sakegi,
    Kyonki yeh aapki tarah muskura na sakegi....

  7. Aisa lagta hai zindagi tum ho,
    Ajnabi kaise ajnabi tum ho
    Main zamin pe ghana andhera hun,
    Aasmano ki chandni tum ho
    Dosto se wafa ki ummeede,
    Kis zamane ke aadmi tum ho

  8. Aapko bhool jau umar gujarne ki baat hai.........
    aapko na ho yakeen ye aur baat hai......... .....
    jab tak rahegi saans tab tak rahoge yaad ...........
    ye saans toot jaaaye to aur baat hai......... .....

  9. Chod diya hamara sath to koi gam nahi.
    Bhul jayenge aap hume,
    bhulne wale hum nahi...
    Aapse mulakat na ho pai to koi baat nahi,
    aapki ek yaad mulakat se kum nahi

  10. Kabhi gamo se tumari mulakat na ho
    udaas bethe raho aisi koi baat na ho
    shiqayat ho to hume maf kar dena
    fursat mile to hume yaad kar lena

  11. Nakaam si koshish karte hai,
    Humunse ulfat kiya karte hai.
    Taqdir me ek tuta tara nahi likha,
    Aur ek hum hai,
    Ki Chaand ki aarzoo kiya karte hai

No comments: